Local Topi

Ek coin jitni choti device apki nazar ka masla, apki dimaghi halat, aur bht jismani masail hal krskti hy

Published

on

Elon musk, jo k Tesla ( ek car banany wali company), Space X ( ek space rockets bnany wali company) or Neuralink kay bhi CEO hain. Neuralink ek coin jinti device hay jo apky brian main choty 1200 wires k sath stitch ki jaigi, usko stitich robot surgeon k thru kia jaiga. Takay apki body ka sara data computer screen par dekha jaskay. is device ki specs nechay wali tasveer main bayan ki gai hain. ye device jab apkay brain k sath lga di jaigi tou ye nazar nahi aigi kiun k ye ek coin jitni hay. Filhal ismain temperature aur pressure sensor lagai gai hain aur ye devices pig jesay janwar par successfully test karli gai hay. Is device ko bananay ka main maksad ye hay k insano ki jismani masail ko dur kia jaskay apko heart attack anay say pehly pta chl jai k apko treatment ki zrort hay, apka vision jo k age k sath khatam horha hy wo theek hojai aur apki body ko jo b physical masla hay wo dur hojai.

ismain itni choti battery lgai gai hay jo puray din chal sakti hay, iski charging wireless mobile ki trah hogi jisko hum inductive charging b kehtay hain. filhal ye device ksi insan pr test nahi ki gai lekin ye buhat bari kamyabi hy k ye janwaro k dimagh main jakr bilkul theek kaam krai hay aur unkay dimagh ko nuksan be nai puhncha rhi. Elon musk ka wada hy k is device ko mazeed behtr banaingy aur ye device future main jakr bht insani jismani maslay solve krdygi

Click to comment

Trending articles

Exit mobile version