International Topi

Kia Coronavirus kiamat hay?

Published

on

Tou bhai seedhay hojao kiun kay WHO nay bolida hay k coronavirus ek pandemic hay matlab, ye aik aisi beemari hay jo kay dunya kau buhat mulko main phel chuki hay. Ab WHO nay ye bhi bolida hay kay bhaio humnay alarm baja dia hay ab tmhri marzi bacho issay ya na bacho. italy walo ki phat kar hath main agai hay aur kuch ek mahina pehlay wahan sirf 3 log bemar thay aur ab pakistan ka bhi kuch esa hi scene lrgha hy. socho ek european mulk main itni taizi say phela tu yahan kia hoga jahan loug khana pakaty wakt bhi hath dona pasand ni krtay. pathan, passenay say roti goundta hay, tjhay jou namak ka taste ata hay roti main wou uska pasena hi hay.

WHO nay pehlay isko pandemic isliay nahi kaha tha kiun kay ye sirf china main phel rha tha, ya italy aur iran say cases thay, laikin ab ye masla global hogya hay. ab jabkay ye waba kamzakam 115 countries main phel chuki hay iswjh say, isko pandemic ka naam dia gya hain. topi ko yakeen nahi arha, asa lgrha hay bhai movie chal rhi hay koi angrezi, worldwar z type ki, jismain log infected hain aur zombies ban rhy hain. Tou bhai kuch aisa hi horha hay abhi dunya main, last time HIV aids ko, swine flu ko, aur 1918 waly spanish flu ko pandemic kaha gya tha. laikin last time WHO nay H1 influenza ko pandemic ka naam dia tha.

Trending articles

Exit mobile version