Smart lockdown ka matlab hy esa lockdown jismain sirf wo log ghar main rahain jo virus say ziada impact huay hain. Ye wsa hi lockdown hy jo k switzerland nay implement kia, laikin us k bad us k cases aur barh gai. Wesay ye lockdown contact tracing par bi muheet hay, primeminister nay ye b kaha k loug precautions lain aur ramzan main koshish krain ghar pr ibadat karain. Laikin yahan kaun sunta hay, sab taraveeh main tafreeh krny nikal jaingy, saray londay suttay maraingy, mashid k bahir.
Kher hukomat nay kuch guidelines di hain, agar wo fulfill na hui, jo k 100 percent nahi hongi, tu action hoga. Kher ye bad ki bad hay, burhay aur wo log jo k bahar say ai, in sab ko test kar k gharo main rehna pryga aur wo log jinki contact tracing k tehat ksi b positively tested banday say mulakat nai hui, un ko bahar jany ki ijazat hogi.
Topibaaz ko nahi lagta k masjid khol dena sahi faisla hay, ye bawakofi hay, ek ramadan agr ap ghat par prhlo gay namaz tu kia faida hoga, koi b borha namaz ghar main nahi prhyga aur sab burhay logo ko corona say ziada nuksan hoga, young log tu corona transfer hony k liay use krta hy. Kher pakistan main sirf 3.3 percent burhay log hain, isliay inho nay socha k agr 3.3 percent intekal kr jaty hain tu kher hay. Phir pura pakistan hi young hjiga, bewakufi hay ye laikin kia karain , is qoum say vaccine nai bnay gi, lekin is qaum ko namaz mashid main jakr prhni hy, dusro ki jaan ka socho yar, insani jaan ki koi ehmiat nahi?
Topibaaz is sawal k sath shaat hua jata hay! Nikal lay tu bhi!