Trending Topi

Whatsapp walay Chacha aur Coronavirus ka ilaaj!

Published

on

Topi ki hati hui hay ajkal, kiun k ek jangli awam k hath main whatsapp dydia gya hay jo apni marzi say jo bhi zehen main ata hay voice note main record kar k phela deti hay.  Tou corona se log maren na maren lekin jahalat se or ye jo whatsapp waly uncles jitny hain jo dis-information phaila rahy hain corona virus k baray main, inse zarur murenge. ye uncle jo hain inhony Orangi main beth k ye dhond lia k bhai Piaz (Onion) k pieces kr k kha lo koi corona nhi hoga or bhai confidence check kro inka agy btaty hain k ap experiment kr sakty hain kisi infected patient pe ap raat main Piaz (Onion) khilaen InshAllah subha koi corona nhi hoga. To kehne ka maksad ye hai k Uncle please ye na kren, lekin ye to baaz ayengy nhi to har musibat main opportunity hoti hai to ye opportunity hai apke liy k apko pehchana hai in fake newsies spread krny walon ko in logo ko apni society se eradicate kren. 

Khair TOPI btaiga kuch wo news jo disinformation ki bunyad bni hui hain.

Pehli baat: Ek video main whatsapp waly Uncle btaty hain k unko pehle se pta tha k Corona virus human made hai ye insaano ne hi bnaya hai. To Uncle btaty hain k dettol k surface cleaner k description ma likha h k is se corona virus ka khatma ho sakta hai or us surface cleaner ki MFG date hai 2/DEC/2019 to unka kehna ye hai k us waqt tak to koi corona virus aam nhi hua tha to Dettol walon ko kese pta chla k future ma corona virus aye ga. Ary Uncle Allah Ko mano thora sa search hi kr lete Google kis liy hai ja k likho corona 2000 words ka page ajay ga wikipedia ka. (Human coronaviruses were first discovered in the late 1960s)

Ye Virus ek nhi hai ye puri family hai jese SARS or MERS tha wo bhi Corona virus tha jo 6-8 years pehle aye the. To ye usi ki ek type hai ye aj se nhi 60s se chlta hua arha ha lekin log sary ye disinfo share kry ja rahy hain please thora ghoor or search kren har cheez ko ankhen band kr k share na kren.

Dusri baat: Ab ek or disinformation ye hai k Corona virus 27°C pe mar jay ga. Ary bhai Humans ki body ka temperature 98.6°F hai isko Celsius ma convert kren to 37°C hota hai, Ary 37 ka temperature to hum khud leke ghum rahy hain ab jo 27°C main mar jata hai to 37°C main Insaan main kese aye ga.

Ab ye to kisi kitab main nhi likha k 27°C main mur jay ga virus, Ice Cream nhi hai bhai jo pighal jay gi 27°C main. To ye bhi Fake Info hai

Teesri baat: Log apny ap ko AntiCoronaVirus ki team bta k ghr ma ghus jaty hain K hum apka test krny aye hain or phir … aap to janty hain agy kya hoga. To bhai aesa koi system nhi Government ka koi aesi team nhi hai jo ghr ghr jaky test kr rahi hai. Lekin han Government messages bhaij rahi hain un logon ko jo recently travel kr k aye hain  dusri countries se, k akty apna test krwa len.

To is se bhi mohtat krlo sab..

Akhri baat: Ye Whatsapp voice note bhi ek uncle ki taraf se hai jo khud btaty hain k hamari Qaum ke dimaghon pe media or social media bohot cha gaya hai jisny qaum ko nafsiyati marz ma mubtila kr dia hai, lekin inko to pta hi nhi hai yahan nafsiyati hai kon?. 

Ye Uncle btaty hain k ye virus kis ko infect kr sakta hai or kisko nhi. 

Jo log branded pizza kha rahy hain wo infect hongy, Really bhai kese, kese pta is virus ko k is bandy ne branded pizza khaya hai ya local.

Or jo log ye sub nhi khaty unko kuch nhi hoga.

jo jigar k mareez hain unko kuch nhi hoga, Aese kese bhai jo bemar hai wo to aur bemar hona chahye q kay unka immune system weak hoga.

And now here is the best things for drug addicts: Ye uncle btaty hain k jo log smoking krty hain or dusry nashy krty hain unko bhi kuch nhi hoga.

Or ye bhi kehna hai inka k branded foods companies apny food main 100% haram cheezen milaty hain iski waja se ye virus infect kr dega to branded food nhi khane.

To aap sab se Guzarish hai k in sab fake info pe yaqeen nhi kren har bat ko foran accept nhi kren thora sa search kr len Google hai sabke pas.

Topi’s final verdict: Puri duniya corona se lr rhi hai or humy jahalat se larna par rha hai. Sudhr jao jangli awam.

Trending articles

Exit mobile version